Bank LoanBusiness LoanCredit CardCurrent AccountDebit CardInstant LoanLoanOnline LoanPersonal Loan

Axis Bank Education Loan Kaise Le ? | Axis Bank Se Loan Kaise Le

So saathiyo kaise ho aap sabhi..

Ummid karta hoon ki sabhi log bahut acche honge aur aaj ki iss psot ko padhne ke baad aap ek dam khush se hone waale hai aur aesa mai kisliye kah raha hoon yah bhi mai aapko bata doo Kyunki aap jaante hai aaj ki taarikh mein education ka kitna importance hai lekin iski importance ko samjhane ke bawajood bhi hum log mein se kucch log majbooran nahi padh pate ya apne baccho ko nahi padha paate jiska kaaran hai inflation logo ke paas khane ke paise nahi hote education kaha se lenge aur denge..

To aise mein ab banks aap logo ke liye kaafi behtareen loan lekar aa chuki hai jiske help se ab har koi vyakti padh sakta hai aur apne baccho ko bhi padha sakta hai aur uss loan ka naam hai education loan jo ki aapko Aaj ki article ke maadhyam se pata chalega ki aap log kaise le sakte hai iss type ke loan ko aur bank ki baat kare to bank hai axis bank .

Axis Bank Education Loan Kya Hai?

To aapko bata doo ki axis bank ek private facilitate bank hai jo ki baaki ke banks ki tarah hi kaam karta hai saath hi baat kare education loan ki to  axis bank ki loan service ke section mein aapko education loan milta hai jo ki aapko aage studies karne mein sahayta pradan karta hai..

Axis Bank Education Loan Benefits?

To baat karte hai axis bank education loan lene ke faayde ke baare mein..

To yah loan education ko protsahan deta hai .

Yah har ek vyakti ko literate banane ke liye ek sahyog ke roop mein loan provide kiya jaata hai .

Saath hi iss loan ke interest rate ki baat kare to kaafi affordable interest rate par aapko education loan mil jaata hai .

Isi ke saath aapko yaha par itna loan providr karwaya jaata hai ki aap apni studies ko complete kar sake..

Saath hi mai aap iss loan ka repayment apni studies ke saath aur jo baaki ke amount honge usr after the studies wapas kar sakte hai..

Axis Bank Education Loan Amount?

To baat karte hai ki jab aap log axis bank se education loan apply karte hai to aapko yaha se kitne amount tak ka loan mil jaayega to dekho yah chhij aapke profile aur eligibility par depend karta hai baaki round figure aapko yaha se 50000 rupees se lekar ke 7500000 rupees tak ka loan mil sakta hai..

Axis Bank Education Loan Interest Rate?

To ab sabse important chij ki baat karte hai jo ki hai kisi bhi loan ko lete waqt aapko uska byaz pay karna padta hai to aapko bata doo ki aapko yaha par floating method se interest pay karna padega agar aap 4 lakh rupees tak ka loan lete hai to 15.20% per annum saath hi 4lakh -7.5 tak mein aapko 14.70% aur more then 7.5 lakh mein aapko 13.70% tak ka interest pay karna pdega…

Axis Bank Education Loan Tenure Duration?

To agar ab yah baat karte hai ki aapko iss loan ko lene ke baad usko wapis karne ka kitna time mil jaayega
To bata doo ki aapko loan ko repayment karne ka tenure duration aapke loan amount par depend karta hai jo ki 12-240 months tak ke bich mein ho sakta hai..

Axis Bank Education Loan Processing Fee?

To ab baat karte hai ki aap jab axis bank se education loan lete hai to aapko kitbq amount kq processing fee pay karna padta hai to bata doo ki yah aapke applicant par depend karta hai jo ki aapko 500 rupees tak ka pay karna padta hai .

Axis Bank Education Loan Eligibility?

To ab yah jaante hai ki axis Bank ke iss education loan ko aakhir kon kon le sakta hai..

Vyakti indian residential hona chahiye..

Saath hi uss vyakti ke graduation mein minimum 50% grade raha ho..

Wo vyakti iss loan ko le sakte hai jo ki aage chalkar medical field, electronic technology filed etc.
Mein future banana chahte hai .

Secured admission ke basis walo ko bhi mil sakta hai jinka 10+2 mein admission entrance merit basis par hua hai..

Jo bhi vyakti iss loan ko lega uske parent/guardian ki income settled honi chahiye jiska aapka documentation bhi show karna hoga…

Aapka account axis Bank mein hona needed hai .

Axis Bank Education Loan Documentation?

To aayiye jaante hai ki axis bank se education loan lene ke liye aapke pass konse documents hone chahiye..

Sabhi logo ke liye education loan lene ki mandatory documents:-

pichhale 6 maheenon ka baink vivaran/paasabuk
vaikalpik – gaarantar phorm

phees anusoochee ke saath sansthaan ke pravesh patr kee prati

s.s.ch., h.s.ch, digree kors kee maarkasheet / paasing sartiphiket

pahale sanvitaran ke lie aavashyak dastaavej
kolej ya vishvavidyaalay se maang patr

aavedak, sah-aavedakon dvaara hastaaksharit rn samajhauta

aavedak, sah-aavedakon dvaara hastaaksharit sveekrti patr

aavedak, sah-aavedakon dvaara hastaaksharit sanvitaran anurodh prapatr

len-den ko darshaane vaale baink stetament ke saath kolej/vishvavidyaalay ko bhugataan kee gaee maarjin manee kee raseeden

sampaarshvik suraksha ke lie dastaavej (yadi laagoo ho)

videshee sansthaan ke maamale mein aavedak ya sah-aavedakon dvaara hastaaksharit phorm e2
baad ke sanvitaran ke lie aavashyak dastaavej
kolej ya vishvavidyaalay se maang patr
aavedak,
sah-aavedakon dvaara hastaaksharit sanvitaran anurodh prapatr

len-den ko darshaane vaale baink stetament ke saath kolej/vishvavidyaalay ko bhugataan kee gaee maarjin manee kee raseeden

pareeksha pragati riport, maarkasheet, vaastavik pramaan patr (koee ek)

Axis Bank Education Loan Kaise Le? / Axis Bank Education Loan Kaise Apply Kare?

To sabse pahle aapko axis bank ki official site par visit karna hoga iske baad aapko login section par internet banking ke through login karna hai .

Iske baad aapko loan ke section par jaakar personal mein education loan par tap karna hai .

Iske baad aapko mobile no and OTP dalna hai then aapke pas ek application form open hoga

Uske sabhi fields ko aapko fill karna hai jisme personal  and students education related details fill karne hai then parent section par aapko details bharni hai aur important documents upload kar dena hai .

Then captcha code Fill Karo adn submit kar dena hai iske baad verification process ke liye contact karenge aur then sabkucch process and verify hone ke baad aapka loan apply ho jayega…

Axis Bank Customer Support?

1-860-500-5555 (Charges applicable as per the service provider)

Customers can access Phone Banking services from outside India by dialing +91-22-67987700.

For blocking of credit/debit/prepaid cards,
you can also call our 24-hour Emergency Helpline Number, +91 22 67987700.

Conclusion?

To aaj ki iss post mein hum logo ne jaana hai ki aakhir kaise aap log axis bank se education loan kaise le sakte hai saath hi kaise aap log axis bank se education loan kaise apply kar sakte hai aaari information aapko iss article mein milegi..

Ummid karta hoon ki aapko post pasand aayegi..

Aabhar Aapka

Shukriya

Pranneta Thakkar

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button