Welcome dosto..
Kaise hai aap sabhi log ummid karta hoon ki sabhi log behatrin honge aur aaj ki iss post mein aap logo ke liye kaafi kamaal ki jaankari hone waali hai jii haa Aaj ki iss post mein aap sab janenge ki aaj ki tarikh mein logo ke liye banks ki important kitni hai yah shayad mujhe batane ki koi zaroorat nahi hai lekin logo ko iska itna importance pata hone ke bawajood kuch logo ke paas aaj bhi bank mein kisi bhi types ka koi account nahi hai aese mein aaj ki iss article mein aapko bataye jaane waali information aapke liye badi kaam ki hone wali hai jo ki yah hai ki aap log kaise aur kis prakar apna khud ka personal account open karwa sakte hai..
To maj bata doo ki aaj ki iss post mein aapko pata chalega ki aap log kaise indusind bank mein apka personal account yaani saving account kaise open karwa sakte hai..
Indusind Bank Indus Classic Saving Account Kya Hai?
Table of Contents
To sabse pahle aapko mai bata doo ki indusind bank ek banking facilities provide karwane wala ek bank hai aur jaise sabhi banks kaam karte hai waise hi aapka indusind bank bhi work karta hai ab yah baat kare hum ki saving account aap logo ka khud ka ek bachat khata hota hai jisme aap apne paiso ko save rakh sakte hai…
Indusind Bank Indus Classic Saving Account Benefits?
To benefits ki baat ki jaaye to aapka fayda yah hai..
Aapke paas khud ka personal savings account ho jaayega…
Aapko online account access ki suvidha milegi jisse aapke bank visit karne ka jhanjhat khatm
Aur aapke jo bhi expenses hote hai monthly ke aap chahe to auto debit se link karke usko remember karne ki or payment karne ki bhi tension khatam kar sakte hai..
Jisme aap apne paiso ko bina kisi tension ke save rakh sakte hai..
Bachat khata ka fayda yah hota hai ki aapko har saal iss par interest recieved hota hai .
Aap ke paas kyunki account hone se aap bank ke loan service ko use kar sakte hai as a bank customer basis..
Iske alawa aap bank ke or bhi kayi sare features ko use kar sakte hai..
Indusind Bank Indus Classic Saving Account Eligibility?
To sabse pahle aap ek indian residential hone chahiye..
Isi ke saath aapki minimum age 21 honi chahiye
To iss post mein hum indusind bank ke indus Classic Savin account ki baat kar rahe hai jisme aapko Minimum 10000 rupees maintain karne padenge..
Saath hi aapke paas aapke sabhi eKYC documents hone chahiye..
Aur agar aap iss type ke saving account mein aap joint account open karwate hai to aapko pahle kisi senior ko first customer then aap joint ho sakte hai..
Indusind Bank Indus Classic Saving Account Documents?
To aapke paas sabse pahle aapka basic eKYC documents hone chahiye jaise ki Aadhar card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences etc .
Isi ke saath aapka yaha par address proof hona chahiye jaise ki Driving Licences, Passport, Aadhar Card, Ration Card etc..
Ab aapke paas aapka jo bhi work hai means occupational uski details with documents honi chahiye..
Aur aapke paas duly field account opening form hona chahiye..
And last aapke paas aapka form 60 hona chaiye..
Indusind Bank Indus Classic Saving Account Minimum Amount Maintainable?
To bata doo ki iss article mein hum ius type ke saving account ki baat kar rahe jo indus Classic Saving account hai to aapko isme account opening karte waqt minimum 10000 rupees maintain to karne padenge..
Aur agar aap urban ilako se belong karte hai to Minimum 5000 rupees karne padenge..
Indusind Bank Indus Classic Saving Account Interest Earn?
To baat ki jaaye ki jab aap iss bank mein apne paiso ko save karte hai uspar aapko per annum ke according kitna byaz mil jaayega to ek round figure hisab hai jo ki yah hai ki agar aap 10 lakh rupees save karte hai to aapko per annum ke hisab 4.5% ka interest mil jaayega…
Indusind Bank Indus Classic Saving Account Open Kaise Kare? / Indusind Bank Indus Classic Saving Account Opening?
Online Method:-
To sabse pahle aapko bata doo ki aapko indusind bank ki official site par visit karna hai iske baad aapko home page aane ke baad account ke section par jaana hai iske baad aapko ..
Account mein jaakar ke personal savings account ke option ko choose karna hai then aapko ek form milega jisme aapko apni personal details and professional details fill karni hogi .
Then submission ke baad aapko offer kiya jaayega ki aap konse type ke saving account ke saath proceed karenge..
Then aapko indus Classic Saving account ko choose karna hai then verification process complete karna hai aur agar process successful raha to aapka account open ho chuka hai..
Offline Method:-
To sabse pahle aapko indusind bank ke nearest branch par visit karna hai aur bank ke employee se personal savings account form ko borrow karna hai..
Then sabhi filed ko bharna hai aur documents ko attached kar dena hai jo ki apko bataya gaya hai iske baad
Aapko saving account ke type ko choose karna hai iske baad form ko bank employee ke pas submit kar dena hai
After the verification qapka account successfully open ho jaayega..
IndusInd Bank Customer Care Number?
1860 267 7777 / 022 44066666. For Premium Banking Customers –
022 4220 7777
Conclusion?
To aaj ki iss post mein hum logo ne baat ki hai ki kaise aap log indusind bank mein ek indus Classic Saving account kaise open karwa sakte hai saath hi kaise open kar sakte hai iski sabhi jaankari aapko article mein Dee gayi hai..
Ummid hai ki post pasand aayi hogi..
Aabhar Aapka
Praneeta Thakkar