Breaking News

Central Bank of India Cent Kalyani Yojana Loan Kaise Le?

Welcome sathiyo..

Kaise hai aap sab ummid karta hoon ki sabhi log khush honge aur behtar honge aaj ki iss post mein hum log baat karne waale hai ki aaj ki date mein jaha par ladies mahilaon ko itna importance nahi diya jaata hai wahi humari sarkar aur unke dwara laaye gaye schemes se jo bhi women independent grow karne ki chhamta rakhti hai unko ab entrepreneur level par bhi banks ke schemes ka benefit milne waala hai wo kaise milega mai batata hoon..

To aaj ki iss psot mein hum log baat krne waale hai ki aap log kaise central bank of india se business loan le sakte hai lekin ye koi normal business loan nahi hone waala hai yah hone waala only women’s ke liye aur yah banks ke ek scheme ke dwara yah loan milega jis scheme kaa naam hai cent kalyani scheme..

Central Bank of India Cent Kalyani Kya Hai?

To aapko mai bata doo ki central bank of India ek official bank hai jaha par aapko proper sabhi banking facilities milne waali hai aap isko normal bank ki tarah use kar sakte hai aur yah bank kaafi purane established banks mein se ek hai aur iss bank mein kaafi saari scheme aati hai jo govt sponsored schemes mein se ek hoti hai jisme se aaj aap kalyani schemes ke baare mein jaane wale hai jo mostly women ke liye yah scheme hai..

Central Bank of India Cent Kalyani Benefits?

To aapko mai bata doo ki cent kalyani scheme ke tahat aap ka loan lene ka kya benefit hai..

Yah loan mostly women ke liye hai..

Women ke growth aur unke self employed and self dependency ke liye iss loan scheme ko introduce kiya gaya hai..

Iss loan ka main objective hai women entrepreneurs ki growth ko focus mein rakhke introduce kiya gaya hai..

Iss loan mein loan ka amount kaafi high normal usual loan ke muqable..

Saath hi isme no processing fee and no security deposit hai jo main benefits hai..

Central Bank of India Cent Kalyani Amount?

To baat karte hai ki cent kalyani scheme ke tahat aap jab business loan lete hai to aapko kitne amount tak ka yaha se loan mil jaayega to mai aapko bata doo ki yaha se aapko maximum 1 crore rupees tak ka loan amount recieved hota hai..

Central Bank of India Cent Kalyani Interest Rate?

To mai aapko bata doo ki yah loan aapko ek scheme ek under mil raha hai saath hi iss type ke loan mein aapko kisi bhi prakar ka interest rate naa ke barabar pay karna jo ki aapka 0.25+0.45% per annum ke according hoga..

Central Bank of India Cent Kalyani Processing Fee?

To bata doo ki jo nahi aapko cent kalyani scheme ke tahat iss loan ko paane ke liye kisi bhi tarah ka Processing Fee pay nahi karna padega .

Central Bank of India Cent Kalyani Collateral?

To aapko bata doo ki aapko cent kalyani scheme ke tahat kisi bhi type ke security deposit rakhna nahi hai just because yah ek loan non secured loan mein se ek hai..

Central Bank of India Cent Kalyani Project Ratio?

To ab yah bhi jaana zaroori hai ki aakhir aap mein se jo bhi iss loan ko apply karega to uske apply kiye gaye loan ke mutabik kitne percent Ratio ke hisab se unko business loan milega to mai bata doo ki aapko yaha se  80% hissa aapke loan ke according mil jaayega..

Central Bank of India Cent Kalyani Eligibility?

To iss cent kalyani scheme ko lene ke liye Eligibility kya hai..

Aap ek indian residential honi chahiye..

Aapki age minimum 21+ honi chahiye..

Saath hi agar aap kisi educational ya trade employee hai to aap iss cent kalyani scheme ka benefit nahi utha sakti..

Aap apne manufacturers, enterprises, or baaki ke aese public sector ke liye iss loan ko le sakti hai jisse employment generation ka ek medium nikle..

Agar aapka project report 1 crore ka hota hai total to aapko uska 20% hissa khud lagana hoga baaki ke 80% ke liye aap loan apply kar sakti hai..

Central Bank of India Cent Kalyani Documentation?

To aapko mai bata doo ki jab aap cent kalyani scheme ke tahat loan lete hai to aapke paas konse important documents hone chahiye..

Sabse pahle aap ek indian residential honi chahiye

Aur isi ke saath aapke paas aapka eKYC documents like Aadhar Card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences etc aap de sakti hai..

Iss loan ko paane ke liye aapke address proof ki bhi zaroorat padegi jiske liye aap apna Passport, Electricity Bill, Telephone Bill, Aadhar Card etc de sakti hai..

Aapko aapka 2 Minimum passport size photograph ki need hogi..

Saath hi aapke paas cent kalyani scheme ka application form hona chahiye..

Saath hi Central Bank of India ka account bhi..

Aur aapke paas aapke business ka project report hona chahiye..

Agar aap sc/st hai to aap usse related bhi documents de sakti hai..

Agar aapke paas central bank of india ka koi aur documents hai to aap use bhi add kar sakti hai..

Visit : https://www.centralbankofindia.co.in/en/Cent_Kalyani

Central Bank of India Cent Kalyani Yojna Loan Kaise Le? / Central Bank of India Cent Kalyani Yojna Loan Kaise Apply Kare?

To chaliye jaante hai ki kaise aap log cent kalyani yojna loan kaise paa sakti hai..

Aapke paas do tarike hai application form ko paane ke liye ya to aap yah kar sakti hai ki aap central bank of india ke official site par visit karke waha se paa sakti hai ya to aap apne nearest central bank of india ke branch par visit karke bhi le sakte hai .

Iske baad aapko uss cent kalyani yojna application form ko poora fill karna hai..

Jiske andar aapka personal information saath hi address proof information aur jo aapke Business ka project report hai use attach kar dena hai..

Aur baaki ke important documents ko attached karke simply apne Central Bank of India ke branch par submit kar dena hai..

Uske baad aapki verification ki jaayegi and then sab kucch verification process complete ho gaya to aapka loan bhi approved ho jaayega..

Conclusion?

To finally mahilayen aaj ki iss article mein humne charcha ki hai aap log kaise central bank of india se cent kalyani yojna loan ko kaise le sakti hai saath hi kaise apply kar sakti hai..

Aasha karta hoon ki article pasand aaya ho..

Shukriya Aapka

Pranneta Thakkar

About Aashish Kummarr

Check Also

Kotak Mahindra Bank Se Loan Kaise Le? कोटक महिंद्रा बैंक पर्सनल लोन? Kotak Mahindra Bank Se Loan Kaise Apply Kare? Kotak Mahindra Bank Se Personal Loan Kaise Le? Kotak Mahindra Bank Se Personal Loan Kaise Apply Kare?

  Namaskar bhaiyo, Kaise hai aap sabhi log ummid karta hoon ki aap log khush …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Please turn AdBlock off

x