Breaking News

Punjab National Bank Mudra Loan (Shishu) Kaise Le?

Namaskar saathiyo

Kaise hai aap sabhi log aaj ki yah post aap logo ke liye kaafi unique hone waali hai Kyunki agar aap kabhi bhi zindgi mein vyapar karne ke baare mein sochte hai ya sochte hai ki aapka business karna hai lekin baat yah aa jaati hai ki kisi bhi business ko create karne aur kisi bhi business ko grow karne ke liye ideas aur plus aapka fundamental investment bahut zaroori hota hai ab yah to clear hai ki aapke paas poora idea clear hai but investment ka kya uske liye aapko paise kon dega ..

Aese mein aapko loan ki need hai jo ki agar aap business loan kisi secured platform se lete hai to kaafi behtar hoga aap logo ke liye to aaj ki iss post mein aaj hum baat karenge ki aap log kaise Punjab National Bank se business loan kaise le sakte hai aur ek aesa loan jise har ek vyakti afford kar sake..

Punjab National Bank Mudra Loan (Shishu) Kya Hai?

To bata doo ki Punjab National Bank ek official bank hai jaha par aap log baaki ke banks ki tarah banking services ka benefit utha sakte hai saath hi aap log yaha se loan bhi apply kar sakte hai aur jaisa ki humare aaj ka topic hai Punjab National Bank business loan to shuruwati logo ke liye kam loan amount tak ke loan ke liye pradhanmantri ke shishu loan Yojna ke tahat hum aage badhenge…

Punjab National Bank Mudra Loan (Shishu) Benefit?

To kyunki yah loan aapko govt officials and pradhan mantri ke mudra yojna ke scheme ke tahat aata hai isliye..

Yah Loan aapko sarkar ke dwara provide kiya jaa raha hai to yah loan aapke liye affordable bhi hai aur secure bhi..

Saath hi inn loan ke main maksad hota hai ki aap log apne vyapar ko shuru kar sake..

Saath hi existing business ko bahut hi acchi tarike se grow kar sake…

Inn tarah ke business loan mein aapko ek main faayda yah hota hai ki aapko kisi bhi type ki security deposit nahi karni padti hai aur jiski wajah se aapko fayda hota hai ki security withdrawal ki tension nahi hoti..

Iss loan ko mostly business related ke liye provide karaya jaata hai jispar aapko mudra yojna ke tahat kisi bhi prakar ka tax pay nahi karna padta..

Agar loan lene wala koi vyakti sc/st se aata hai usko pradhan mantri mudra yojna ke tahat Business loan lene par mostly extra Subsidy mil jaati hai..

Punjab National Bank Mudra Loan (Shishu) Amount?

To ab aapke dimag mein baat aa jaati hai ki jab aap log Punjab National Bank se shishu Yojna ke tahat loan lete hai to aapko loan amount kitna mil jaata hai to aapko mai bata doo ki jab aap log pradhanmantri Mudra Yojna ke tahat Shishu loan lete hai to isme aapko loan amount 50000 rupees tak ka mil jaata hai lekin agar aapko 10 lakh rupees tak ka loan paana hai to aap kishor ya tarun yojna ko choose kar sakte hai..

Punjab National Bank Mudra Loan (Shishu) Interest Rate?

Ab yah jaan lete hai ki jab aap log jab Punjab National Bank se mudra yojna ke tahat shishu loan lete hai to aapko is loan ka per annum ke basis par kitna interest pay karna padega to aapko mai bata doo ki aap logo ko per annum ke according 9.55% ka interest rate per annum pay karna padega..

Punjab National Bank Mudra Loan (Shishu) Tenure Duration?

To aayiye ab yah jaan lete hai ki jab aap log Punjab National Bank se pradhanmantri Mudra Yojna ke tahat shishu loan lete hai to aapko iss type ke business loan ko lene ke baad kitne dino ka samay mil jaata hai iss loan ka repayment karne kaa to bata doo aap logo ko maximum 5 years ka tenure time mil jaata hai..

Punjab National Bank Mudra Loan (Shishu) Eligibility?

To aapko bata doo ii pradhan mantri mudra yojna ke tahat shishu loan mein aapko business loan lene ki main eligibility hai..

Iss type ke business loan ko har ek koi vyakti, entrepreneur, business owner, private limited company etc sabhi log le sakte hai kyunki yah mudra loan ke antargat aata hai..

Jin kisi ko bhi iss shishu yojna loan ko paana hai unko dhyaan dena hai ki unka enterprises, private limited company or business ek income generate sectors mein se ek hone chahiye..

Agriculture sector se related logo ko bhi yah loan mil sakta hai because wo log bhi iss loan ko lene ke liye eligible hai..

Or apply karne wale ko yah baat dhyaan rakhna hai ki use kisi bhi tarah ka loan pahle agar liya hai to uski emi mein bounced na hua ho..

Punjab National Bank Mudra Loan (Shishu) Documents?

To ab jaante hai ki Punjab National Bank ke pradhanmantri shishu yojna ko lene ke liye konse documents ki need hai .

Aap ek indian residential hone chahiye..

Saath hi aapke paas sabhi eKYC related documents hone chahiye jaise ki aapka Aadhar Card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences, Passport etc..

Isi ke saath address proof ke tor par aapke paas Aapka Ration Card, Passport, Aadhar Card, Pan Card, Electricity Bill, Telephone Bill, etc.. hone chahiye..

Aapki minimum 6 months ki bank account ki statement hone chahiye..

Saath hi agar aap sc/st hai to aapke paas usse related documents hone chahiye..

Aap apna business ka project report ka Documentation ready rakh sakte hai..

Aur agar aapke paas punjab national bank ki taraf se additional documentation hai to aap add kar skate hai..

Visit : https://instaloans.pnbindia.in/mudra-loan/verify-customer#!

Visit : https://www.pnbindia.in/SMEBanking.html

Punjab National Bank Mudra Loan (Shishu) Kaise Le? / Punjab National Bank Mudra Loan (Shishu) Apply Kaise Kare?

Sabse pahle aap do kaam kar sakte hai ya to aap online hi Punjab National Bank ki official site par visit karke waha se aap log pradhanmantri Mudra Yojna ke tahat shishu yojna ke application form ko paa sakte hai..

Yaa to aap log Punjab National Bank ke official branch par visit karke waha se paa sakte hai..

Iske baad aapko aapke pas jo documents hai use apne saath carry karna hai aur sabse pahle aapko application form ki fields ko sahi se fill karna hai jisme se sabse pahle..

Personal information saath hi professional information aur other information ke baad aapko business related information fill karke aapko documents attach kar dena hai..

And then submit kar dena hai ab aapka loan application submit ho chuka hai jaise hi verification process complete hoga aapka loan verified ho jaayega aur approved bhi .

Conclusion?

To finally dosto aaj ki iss post mein humne jaana hai ki aap log kis tarike se Punjab National Bank se pradhanmantri Mudra Yojna ke antargat aane waale shishu loan ko kaise le sakte hai saath hi aap log kaise apply kar skate hai..

Ummid karta hoon ki article pasand aayi hogi .

Shukriya Aapka

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

Kotak Mahindra Bank Se Loan Kaise Le? कोटक महिंद्रा बैंक पर्सनल लोन? Kotak Mahindra Bank Se Loan Kaise Apply Kare? Kotak Mahindra Bank Se Personal Loan Kaise Le? Kotak Mahindra Bank Se Personal Loan Kaise Apply Kare?

  Namaskar bhaiyo, Kaise hai aap sabhi log ummid karta hoon ki aap log khush …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Please turn AdBlock off

x