Breaking News

State Bank Of India Mudra Loan Apply Kaise Kare? | SBI PMMY Loan Apply Online? | SBI Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan Kaise Le?

Hello friends,

So, kaise hai aap sabhi log badiya toh aaj ka article aap logo ko kuch new scheme ke baare mein jaane ko milega jisme ki aap apna account open karwa sakte hai aur saath hii pmmy schmes aapke bahut help karne wali hai toh aage aapko iss schmes ke baare mein poora pata chlega ki ye kis tarike se ye aapke liye kaam karti toh pahle hum business ke baare mein jaan lete hai jiske liye aap log pmmy se loan lenge business karne ke liye…

Business aaj ki date mein logo ke liye kewal ek shok nahi balki logo ke liye zarurat ban chuki hai aur ese mein har vyakti chahta hai ki wo apna khud ka business shuru kare jisse usko kisi bhi chij ke liye depend nahi hona padega kisi pe…

Pahle logo ke pass koi option nahi tha job karne ke alawa aur wo job se hii apne poore kharcho ko manage karte the jo ki uske pass ek salary base yaani job karne ke alawa koi aur option nahi tha lekin jaise jaise time change hua toh logo ke earn karne ke tarike mein kaafi change aaya aur log ab business ke field mein jana zayada pasand karte kyuki waha apne pasand ka field hai aur dusra ki wo earning bhi acchi kar sakte hai jiske liye state bank of india aapko Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ke tehat business ko chalne ke liye loan dilwati hai.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna yeh ek government ki scheme hai jo iss schmes ke dwara aapko business karne mein help karti hai loan ke madad se aur aapko state bank of india dilwati hai.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?

1. Pahle toh aapko loan return karne ka waqt isme kaafi accha khasa mil jata hai.

2.Jo bhi interest rate aap ko pay karna padta hai jab aap loan lete hai toh aapke budget mein hii rakha jata hai.

3.Iss loan ko koi bhi vyakti le sakta hai jo business karna chahta hai chahe wo chota ya bada business kyu na ho.

4.Yaha loan lene par aap ko koi bhi security deposit ya asset deposit nahi rakha padta hai.

5.Aur jinhone abhi tak koi bhi business shuru nahi Kiya aur karna chahta hai upper ya middle class families wo yaha se loan easily le sakte hai.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

Ab baat karte state bank of india Pradhan Mantri Mudra yojna ke liye bank aapko jab business karna ho toh kitna amount deti hai toh ye aapko 10 lakh tak ka amount deti hai.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?

Interest rate ki baat kare jo ki jiska byaj aapko bank ko interest ke hisab se pay karna padta hai toh yeh aapko 8.4%-12.30% tak ka hota hai. 

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?

State Bank of India se jab aap business ko shuru karne ke liye bank se loan lete hai toh bank aapko time duration yaani time kitna deti uss loan ko return karne ka toh yeh 12 to 60 months ka hota hai.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

Iss loan ko lene ke liye Eligibility ye sab honi chahiye…

1. First of all aap Indian residency ho.

2.Aur aap loan le rahe toh aapka record clear hona chahiye jo bhi isse pahle aapne loan liya hoga usse time se return kar diya ho.

3.Aur saath hii aap kisi na kisi business entity se jude hue ho.

4.Isme aapki age 18 honi chahiye loan lene ke liye.

5.Aur zayada se zayada age 65 honi chahiye.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna se loan lene ke liye jo documents ki need padti hai wo hai…

1.Pahle toh aapke paas community details honi chahiye.

2.Aur saath hi mein aapke paas business pan card hona chahiye.

3.Aapke pass proof of Shop & establishment or any other business ke registration documents hone chahiye.

4.Aur saving or current account number and other account -related details hona mandatory hai.

5.Aur saath hi aapke pass ekyc documents bhi poore hona chahiye.

6.UlDAI -Aadhar Number ho jisse form ko poora kiya ja sake.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?

18004253800

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare…

SHISHU YOJNA

Visit : https://sbi.co.in/web/business/sme/sme-loans/pm-mudra-yojana

Sabse pahle aapko SBI ke e- mudra loan par jana hoga.

Uske baad aapko application form provide krwai jayengi.

Usko baad acche se details ko fill karni hai.

Then aapko aadhar number provide karwai jayegi for e-Kyc through UlDAI.

Then apne documents ko attached kana hai.

Fir aapka form successful submit mana jayega.

Visit :https://emudra.bank.sbi:8044/

TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA

Pahle isme aapko e -mudra loan par jana hai.

Then aapko form dekh ke jis loan ke liye apply kar rahe hai uss par tap karna hai.

Uske baad option par click karke form ko fill kar dena hai .

Fir saare documents jin jin ki need hogi wo attached karni hai.

Aur aapko photo aur signature chahiye honge.

Then sucessful submit ho jayega.

Kya state bank of india ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?

Hann zyadatar banks jo ki aapko loan yaani ki Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ko dilwane mein help karti hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

Nahi par Pradhan Mantri Mudra yojna mein aapko collateral free services mil jati hai.

Conclusion?

Toh maine aapko iss article ke madhyam se samjhenge ki koshish kari hai ki aap log kis tarike se Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ke liye apply kar sakte hai aur uske liye aapko jo hai konse documents ki need padegi.

Ummid karti hu aapko yeh article samajh aaya hoga.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

Indusind Bank Se Loan Kaise Le? | Indusind Bank Se Personal Loan Kaise Le? | Indusind Personal Loan | इंडसइंड बैंक से लोन कैसे ले ? | Apply Indusind Personal Loan

Namaskar bhaiyo, Kaise hai aap sabhi log ummid karta hoon ki sabhi log khush honge …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Please turn AdBlock off

x