Breaking News

Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Kaise Le? Union Bank Of India MSME (PMMY) Loan Kaise Le

Welcome bhaiyo,


Kaise ho aap sabhi log mai ummid karta hoon sabhi log behtarin honge aaj ki yah post hone waali hai related ki aap log kaise union bank of India se aap log kaise home loan le sakte hai aur yah normal housing loans ki tarah nahi hone waala hai aapko yah home loan jo milega wo banks se par sarkar ke awas yojna ke antargat milega jisse aap iss loan ko kaafi aasani se le paayenge..

To aaj ki iss article mein aap logo ko pata chalega ki aap log kaise union bank of india se pradhan mantri awas yojna kaise le sakte hai aur iss types ke home loans ko lene ke liye aapko konse steps ko follow karna padega aari jaankari iss article mein uplabdh hai..

Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Kya Hai?

To jaisa ki aap log yah baat jaante hai ki aapko banks mein sabhi types ke loan milte hai jisme se home loan bhi aapko milta hai aur sarkar ke aapko kaafi schemes means yojana ke baare mein aapne zaroor suna hoga jo ki banks mein aapko unn schemes ke under loan mil jaata hai to unhi banks mein se union Bank of India bhi hai aur iss banks mein home loan aapko pradhan mantri awas yojna ke tahat mil jaata hai..

Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Benefits?

To baat karte hai faayde ki to aapko bata doo

Sabse pahle ki iss loan ke tahat har ek vyakti ke paas apna ghar ho sake..

Saath hi kisi bhi vyakti dwara kisi land ko purchase karna aur uske upar Ghar banane ka kaam karna.

Aur agar aapke paas aapka already koi ghar hai to uska renovation karwana aur ek naya roop dene ke liye bhi aap iss awas yojna ka tahat Union Bank of India se loan le sakte hai..

Aur bhi iske alag kaafi benefits hai..

Affordable interest rate jisse aap iss loan ko aasani se use karke Repayment kar sake..

Repayment time is more duration

Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Kitna Loan Milta Hai?

To aapko bata doo ki jab aap log union bank of india se pradhan mantri awas yojna ke tahat home loan lete hai to aapko yaha se maximum 30 lakh rupees tak ka loan mil jaata hai aur yah aapko long duration ke liye milta hai .

Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Interest Rate?

To aayiye ab yah jaante hai ki jab aap log union bank of india se loan lete hai to atleast hai to yah loan hi to aapko iss par per annum ke hisab se kitna interest pay karna padega to mai aapko bata doo ki aapko per annum ke hisab se 6.5% ke hisab se interest pay karna padega..

Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Repayment?

Ti ab baat yah jaati hai ki aap log jab loan lete hai to normal hai ki aapko kabhi na kabhi iss loan ko to wapis bhi karna padega to baat aa jaati hai ki jo aap log yah loan le rahe hai union bank of india se to aapko yah loan kitne dino le liye milega to bata doo ki aap logo ke nett income ke basis par income ke aadahr par EMI banaya jaayega use hi aapko fullfill karna hai jisme main amount bhi aa jaayega..

Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Processing Fee?

To ab baat yah bhi aa jaati hai ki jab aap log kisi bhi loan ko lene jaate hai to kabhi kabhi loan par aapko processing fee bhi pay karna padta hai to baat ab yah aa jaati hai ki aap logo ko Processing Fee Deni hai to aapko bata doo ki agar aap 6 lakh rupees tak ka loan lete hai to utne tak mein aapko koi fee pay nahi karni lekin agar aap 6 lakh se zyada ka loan lete hai to haa aapko pay karna padega..

Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Eligibility?

To ab yah jaan lete hai ki aakhir union bank of india se pradhan mantri awas yojna lete waqt aapki kya eligibility honi chahiye..

Sabse pahle to aap ek indian residential hone chahiye..

Isi ke saath aapki age minimum 21 aur maximum 70 saal tak ki honi chahiye..

Aapke paas sabhi aapke eKYC documents hone chahiye..

Saath hi housings loan lene ke liye aapke paas uska poora project report tayyar hona chahiye..

Aur jo bhi vyakti iss loan ko le raha hai uss ke paas already koi pucca ghar nahi hona chahiye..

Aur jo bhi vyakti pradhanmantri Awas yojna ke tahat iss loan ko le raha hai wo uss time par kewal iss loan ke alawa kisi doosre other components se connected nahi hone chahiye..

Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Documents?

To aayiye ab yah jaante hai ki aapke paas konse aese documents hone chahiye jiske basis par aap iss pradhan mantri awas yojna ko le sakte hai..

Sabse pahle to aapke paas aapke basic eKYC documents hone chahiye jaise ki Aadhar card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences etc hona chahiye..

Isi ke saath uss vyakti ke paas apna address proof me tor par Electricity Bill, Telephone Bill etc de sakte hai..

Jis jagah aap land lekar ke construction karna chahte hai uske related address proof hone chahiye..

Aur saath hi uska poora project report aapke paas hona chahiye..

Aur aapke income source se related documents aur aapko batana bhi hai aapki nett income kya hai aur iske related documents like form 16 bhi de sakte hai…

Visit : https://www.unionbankofindia.co.in/english/union-mudra-scheme.aspx

Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Kaise Le? / Union Bank Of India Pradhan Mantri Awas Yojana Kaise Apply Kare?

To aayiye ab jaante hai ki aap log kaise aakhir Union Bank of India se pradhan mantri awas yojna ko kaise le sakte hai..

To sabse pahle aapko pradhan mantri awas yojna ke application form ko lena hoga jo ki aap Union Bank of India ke official site par visit kar ke bhi paa sakte hai ..

Aur yaa to aapko kaam karna hai ki aapko apne nearest Union Bank of India ke branch par visit karna hai aur waha par aapko bank employee se pradhan mantri awas yojna application form ko borrow karna hai .

Iske baad aapko form milne ke baad jo bhi mandatory field hai sabko acche se fill kare aur apne documents se related hi fill kare .

Isi ke saath aapko personal information saath hi professional information and at the end aapko apni home loan details ko filled up kar dena hai..

Iske baad aapko apne important documents jo attached kar dena hai

Then submit

Aur aapka loan submit ho chuka hai jaise hi bank ke official isko proper verification karke Aapko verified kah denge aapka loan approved ho jaayega..

Conclusion?

To finally dosto aaj ki iss post mein hum logo ne baat ki hai ki aap log aakhir kaise Union Bank of India se pradhan mantri awas yojna kaise le sakte hai aur aakhirkaar kaise aap log iss loan ko apply kar sakte hai isse related poori info aapko iss article mein mil jaayegi…

Aasha hai ki aapko article pasand aayi hai koi bhi sawal ho zaroor pooche..

Shukriya Aapka

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

SBI YONO App Se Loan Kaise Le | SBI YONO App Se Loan Kaise Apply Kare?

Hello dosto, Kaise hai aap sabhi log mai ummid karta hoon ki sabhi log acche …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Please turn AdBlock off

x